Tuesday, October 2, 2012

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai Full poem with PDF download

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai
Ke Zindagi Teri Zulfo Ke Narm Chao Mein Guzarne Pati
To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi Ye Ranj-O-Ghum Ki
Syaahi Jo Dil Pe Chai Hai Tere Nazar Ki Shuwao.N Mein
Kho Bhi Sakti Thi Magar Ye Ho Na Saka
Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai
Ki Tu Nahi Tera Ghum Teri Justaju Bhi Nahi
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzu Bhi Nahi
Na Koi Raah Na Manzil Na Roshni Ka Suraag
Bhatak Rahi Hai Andhero Mein Zindagi Meri
Inhi Andheron Mein Reh Jaunga Kabhi Kho Kar
Main Jaanta Hu Meri Ham Nafaz Magar Yuhi
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

PDF Download
Download PDF file of this poem from here

2 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

Post your comment here. But, no spam please! :)